Jab se tum se dil lagaya hai
August 22nd, 2008Jab se tum se dil lagaya hai,
Is dil ko roog sa lagaya hai,
Tumhe har haal mein mera hona hoga,
khuda ne tumhe mere liye hi banaya hai,
Main kab tak deta rahunga mohabat ki priksha,
Tumne har mod par to mujhe aazmaya hai,
Duniya mein hasino ki to koi kami nahin,
Phir bhi maine to sirph tumse dil lagaya hai,
Mujhe kya malum tha mohabat kya chiz hoti hai,
Mohabat karne ka fun to tumhi ne sikhaya hai,
Main to chalta raha yun hi wiraan rasto par,
Lekin payar ka marg to tumhin ne dikhaya hai,
Jab bhi tutne lagi himmat mohabat ke marg par,
Tumhari yadon ne hi to aakar mera sahas badaya hai,
Yun na kiya karo kabhi shak mere payar par,
Maine to apna pyar sirf tumhi par lutaya hai,
Ta zindagi karta rahega tera intazaar,
Tere payar ka diya apne dil mein jagaya hai,
Tumhin choodh chali ho saath is Gareeb ka,
Jisne tumhare payar ko apne dil me basaya hai,
Bujhne na dunga diya tere intazar ka,
Jab tak tera payar meri sanso mein samaya hai

