Archive for the 'Shayari' Category

Baitha hun palke bichaye tere intezar main…

Friday, August 22nd, 2008

Tanha tanha sa rahta hun khoya sa in fizao main,

Baitha hun palke bichaye tere intezar main…

Ab to din katti na ye raaten,

bas khoya rahta hun teri yaad main…

Sapna banke kwabo me aati ho,

aati ho nazar in band palkome main…

Dekhu teri jab khilti muskurahat ko,

jaise zhum utha ho maan mera sawaan main…

Sharma ke jab tu nazren jhunkati ho,

ho jaata hun banwra teri in mast aadao main…

Kaliyan bhi muskurati hai khilte hai phool bhi,

jab aajati ho tum mere maan ke chaman bahar main…

Na mile teri khabar koi bechain sa ho jaata hun,

na lagta hai maan kahi rahta hun khoya khoya sa tere khayalo main…

Meri muskurahat har khushi judi hai sabkuch tujhse,

meri dhadkane leti hain har saans tere naam se…

Tum mera khwab, chahat, meri haqikat ho,

jindagi ho jo dhadakti ho meri dil main…

Aaa ab loot ke kisi bahane se JAAN,

Tanha tanha sa rahta hun khoya sa in fizao main,

Baitha hun palke bichaye tere intezar main…

Haan wo mujhko achhi lagti hai

Wednesday, August 20th, 2008

 Use Milna batain karna acha lagta hai
Chup chup ke haan use milna acha lagta hai,

Wo kehti hai tum mujhko bohat hi achhe lagte ho


mujhko uska aisa kehna acha lagta hai,


uski ankhon mein band rehna acha lagta hai


uski yadon mein ana jana acha lagta hai,


sab kehte hai yeh khwab hai tera lekin


khwab mein mujhko rehna acha lagta hai,


haan wo mujhko achhi lagti hai…

Sirf tumhare baare mein sochta hun

Wednesday, August 20th, 2008

jab kisi ke baare mein sochta hun
to sirf tumhare baare mein sochta hun
jab kisi ka naam lena chahta hun
to honthon par tumara naam ata hai,


mera dil dharkta hai, sab ki tarah
par dhak dhak nahi karta
wo tumhara naam leta hai,


jab muskurata hun main,

to tuje yaad karke muskurata hun,

jab rota hun
to tuje yaad karke rota hun
Meri har baat tumse judi hai
tujhe bina soche main kuch nahi karta,


 Really : Main tumhe bahot miss karta hoon…….. ….!!!!! !!