Archive for the 'Dard Bhari Shayari' Category
Ab aansuyon ko aankhon mein sajaana hoga
Chiraag bhuj gaye. . . khud ko jalaana hoga
Na samjhna ke tumse bichhar ke khush hain
Hamein logon ki khaatir muskuraana hoga
Phir pairon mein mehndi laga ke baithe honge
Hum jaan-te hain unkaa kya bahana hoga.
Phir shaam dhal gayi ..aap aaye na aaj bhi
Dil ko aaj phir umeedon se behlaana hoga
Vaada-khilaafi kar ke muskuraate ho aap
Dekhna aik din sanam aapko pachtaana hoga.
Lahoo se apne kafan pe tera naam likh jaaunga
Thaam haath mein kaleeza tumko aana hoga
Abhi se na kijiye takaaze masroofiyat ke aap
Abhi utth-ni hai arthi kaandha to lagaana hoga
Muddaton kiya hai tera intezaar aey dost..!
Umar kat chuki. . .ab ham ko jaana hoga……..
humari dastaan usse kahan kabool thi
meri wafayen uske liye fizool thi
koi aas nahi lekin koi itna bata do
maine chaha usse kya ye meri bhool thi……..
Dukhon Key Saye Main Zindage Guzari Main Ney
Phir Bhi Khush Reh Kar Khood Ko Saza De Main Ney
Khushi Tu Na Mumkin Se Hai Mere Zindage Main
Phir Bhi Zindage Main Khusion Ko Panah De Main Ney
Dukh Sehney Ke Adat Se Par Gaye Hai Mujh Ko
Is Dukh Sey Jaisey Dosti Kar Le Hai Main Ney
Merey Dukhon Ko Aaj Tak Samjh Na Saka Koi
Phir Bhi Kise Sey Umeed Lagaye Hai Main Ney
Us Ney Merey Dukhon Ko Ek Bahana Samjha
Phir Bhi Us Ke Berukhi Ko Apna Liya Main Ney
Apney Ansu Or Gham Ley Kar Kahan Jaon Main ?
Jis Key Sath Yeh Sab Banta Tha Usey Hi Koh Diya Main Ney.
Bhuul shayad bohut badi kar lee,
Hum ne dunya se dosti kar lee,
Tum mohabbat ko khel kehte ho,
Hum ne barbaad zindgi kar lee,
Sabh kee nazrein bachaa ke dekh liya,
Aankhon aankhon mein baat bhi kar lee,
Aashiqi mein bohut zaruuri hai,
Be-wafaayi kabhi kabhi kar lee,
Hum nhi jaante chiraagon ne,
Kyun andheiron se dosti kar lee,
Dhadkan dafan ho gayi hogi,
Dil mein diwaar kyun khadi kar lee,
Unka waada hai ki vo laut ayenge
issi umeed par hum jiye jayenge
yeh intezaar bhi unhi ki tarah pyaara hai
kar rahe the, kar rahe hai or kiye jayenge.
khushbu to kuch hi pal ki mehmaan hai..
thoda sukoon diya aur udne ki firak me rahti hai….
pyaar ko ham apne wo hawa banana chahate the
jo teri yaad bankar harpal hamse lipate rahti hai





















