Baitha hun palke bichaye tere intezar main…
Tanha tanha sa rahta hun khoya sa in fizao main,
Baitha hun palke bichaye tere intezar main…
Ab to din katti na ye raaten,
bas khoya rahta hun teri yaad main…
Sapna banke kwabo me aati ho,
aati ho nazar in band palkome main…
Dekhu teri jab khilti muskurahat ko,
jaise zhum utha ho maan mera sawaan main…
Sharma ke jab tu nazren jhunkati ho,
ho jaata hun banwra teri in mast aadao main…
Kaliyan bhi muskurati hai khilte hai phool bhi,
jab aajati ho tum mere maan ke chaman bahar main…
Na mile teri khabar koi bechain sa ho jaata hun,
na lagta hai maan kahi rahta hun khoya khoya sa tere khayalo main…
Meri muskurahat har khushi judi hai sabkuch tujhse,
meri dhadkane leti hain har saans tere naam se…
Tum mera khwab, chahat, meri haqikat ho,
jindagi ho jo dhadakti ho meri dil main…
Aaa ab loot ke kisi bahane se JAAN,
Tanha tanha sa rahta hun khoya sa in fizao main,
Baitha hun palke bichaye tere intezar main…

