Mujhay bas itna hi kehna hai

Kabhi main yaad aaoon tou
Kabhi tanhaee ki raatain

Tumhain ziada sataein tou
Kabhi titli na bolay tou

Aur jugnoo naa chamkain tou
Kabhi jab dil bhi bhar jaaey

Koi jab sunn na paye tou
Aur saray dost saathi bhi

Jo tum sai rooth jaaein tou
Kabhi jab khud sai lar lar ker

Thakan sai choor ho jao
Kabhi chahtey huay bhi khud,

akailey Rou na paao tou
Apni aankhon ko bund karna

Mujhay aawaz dai laina
Aur phir meray tasauwer sai

Jo chaaho batain keh laina
Meray kaandhay pai ser rakh ker

Tum jitna chaaho rou laina
Phir khud main jab lout Aao tou

U’Ssi dunya chaalay jaana
Mager bas itna hi kehna hai

Kai jab bhi dukh ya khushyon main
Mujhay dil sai pukaaro gai

Mujhay tum saath paao gai Mai u’ss din lout aaoon gi…


Leave a Reply

You must be logged in to post a comment.