Itni muddat ka payar toot gaya

Aaj ashqoon ka taar toot gaya,
Rishta_e_intzaar toot gaya,

Yuun wo thukra ke chal diye goya,
Ikk khilona thaa pyaar toot gaya,

Roye reh reh kar hichkiyaan lekar,
Saaz_e_gam baar baar toot gaya,

Aap ki berukhi ka shikwa kya,
Dil thaa na_paidaar toot gaya,

Dekh lee dil ne besabati_e_gul,
Phir tilism_e_bahar toot gaya,

Kya chaar din ki ranjish se,

Itni muddat ka payar toot gaya,


Leave a Reply

You must be logged in to post a comment.