Archive for July, 2007

USEY CHAHTEY REHNA

Tuesday, July 24th, 2007

USEY CHAHTEY REHNA

Lakh Dukh Uthaoo, Tum Koshish Kartay Rehna

Issi Tarha Toot Kay Ussay Chahtay Rehna

Wo Yaad Na Karay Tum Ko, Ye Us Ka Amal Hai

Tum Khudh Say Ziyada,Ussay Yaad Kartay Rehna

Ye Jaan Loo,Kay Roona Uss Ko Aata Nahin Tum Pay

Khair, Tum Aisay Hi Aahad Nibhatay Rehna

Aansoon Kay Tumharay, Koi Qeemat Nahin Hai

Uss Ki Yaad Main Yunhi, Tum Ashk Bahatay Rehna

Kabhi Tarpay Gii Woh,Kabhi Too Beqarar Hoo Gii

Daastaan Tum Usko Apni, Yunhi Sunatay Rehna

Din Bohat Kam Hain, Tumharee Zindagi Kay Yasin

Agar Nafrat bi Karay,Tum us Say Muhabbat Kartay Rehna

Zindagi Kay Kissi Moor Pay Pachtaey Gii Woo Bhi

Tum Bhi Khuli Aankhoon Say Ussay Dhaikhtay Rehna

Kiun Dil Lagaya Hai Mowla, Us Bay Parwa kay Sath

Mar Jaoon Gaa, Nahin Hota Mujh Say Jeetay Rehna

KEHTI HAI YEH

Tuesday, July 24th, 2007

KEHTI HAI YEH

Kehti hai yeh hawa kehti hai yeh fiza
kal koi tha yahin lakin ab woh nahi

woh kahin or hai dard ka dahor hai
kitna gahera hai ghum kesa hai yeh sitam

kehti hai yeh hawa kehti hai yeh fiza
jitna bhi ghum sahi utne hi chup raho

kuch na kaho kuch bhi na kaho
Arzoo soo gayi har khushi kho gayi

sunhe hain raste ab mere waste
sirf ik yaad hai ek faryad hai

sirf tanhayian sirf parchayian
ansoon ki nadi dil main hai bahe rahi

kehti hai zindagi tum bhi is main baho
kuch na kaho kuch bhi na kaho.

LIKHTA RAHTA HOON

Tuesday, July 24th, 2007

LIKHTA RAHTA HOON

Chahre parta Aankheen likhta rahta hoon
Main bhi kaisi bateen likhta rahta hoon
Tere hjer main aur mujhe kya kerna hai
Tere naam kitabeen likhta rahta hoon
Teri zulaf ke saye dhayan main rahte hain
Main subhon ko shameen likhta rahta hoon
Tujh se mill ker sare dukh duhrayon ga
Hijer ki sare bateen likhta rahta hoon
Sokhe phool, kitabeen, zakham judai ke
Teri sab sogateen likhta rahta hoon